Tuesday, December 08, 2009

ittefaq

do chhajjiyaan banwanyi thi..
kuchh beete aur kuchh aane waale lamho ko saja kar rakkhunga soch kar...
ittefaaq hi hai shayad ki ek chhajji fail rahi hai toh doosri sikudti jaa rahi hai...

Khelne ko toh aur bhi kai khel baaki the
Saansein lunga toh waqt gujrega aisa toh nahi maanga tha

Tumne toh kaha tha ki bas khana aur peena hoga
chhupa liya ki hansna hoga,rona hoga...JEENA hoga.

Fekte waqt ek rassi hi latka diya hota
sahara nahi toh faansi hi bana liya hota.

No comments: